Wednesday, June 23, 2010

Political Dramas

Aisa kyon hota hai ki Political parties apane hiton ke karan us public ko dokha dene lagati hain jinake dam per wo aaj shakti ka kendra bani hain.
Bharat ke rajneetik itihaas ke bare me meri jaankari bahut hi kam hai, aur mai usame abhi jaana bhi nahin chahata per jab se rajneeti ko samajh aur desh ke loktantra ko dekh raha hoon charo taraf maukaparasti dikhai de rahai hai.
Bihar 2006 navodit hua tha. Yeh rai sirf meri hi nahin bahut saare un logon ki hai jo desh aur dunia ke alag kshetron me raha rahe hain aur bihar per nazar rakhe huye hain.
Nitish kumar ko vyaktigat taur per mai bahut hi imaandaar manata hoon. Bihar me jab se unhone BJP ke saath milkar satta sambhali bihar aage badhata gaya aur aage bhi umeed hai ki badhata hi jayega. Lekin ab jab chunav hone me kuch samay hi baaki rah gaya hai, wo kyon bihar ki janata ke saath chhal karane lage hain. Wo agar bjp ke saath rahana chahete hain to achi baat aur nahin rahana chahete to ise bhi spashta karen. Agar unhe is baat ka bharosa ho gaya hai ki bihar ko ek swacha sarkar akele (JD-U ke) dam per de sakate hain to ise saaf saaf karane se dar kyon rahe hain. Chod den wo BJP ka daman, agar unko lagata hai ki wo daagdaar hai. Kamase kam jis janata ne uname ek ache prashashak ka chehra dekha hai wo confuse to nahin hogi. Mai niji taur per ye rai rakhata hoon ki Nitish kumar BJP ke saath to dokha kar hi rahe hain Bihar ke saath bhi dokha kar rahe hain. Unko agar lag raha tha ki Vigyapan me burai hai to us per virodh jatate us paise ko lautane ki kya zaroorat thi jisase bhihar ki janata ka kuch bhala ho sakata tha. Unhone bhi doosare rajneetizyon ki tarah apane vyaktigat khunnas ko nikalane ke liye aam janata ke phayade ki bali chada di hai. Paise ko lauta kar aur BJP se rishtey ko lekar uljhan ko banaye rakh kar wo dhokha kar rahe hain. Aur yehi nahin unhone isase apane aapko neeche gira liya hai. Kama se kam mujh jaise logon ki nigah me to unaki chhavi kharab hui hi hai.

2 comments:

Unknown said...

Abhi kyaa raay he sir

SherAli said...

Blogging kyo band krdi?